tum ho..
wohii chehraa hai, wohii aankhein.. haan wohii tum ho..
muddatein guzrii, paas to nahiin magar.. aankh mein tum ho..
khushnaseeb koii aur hai...ke jiske saamne tum ho..
vo mehendii se saje haath,
vo band palkein,
vo muskaanon mein kashish
meri aaadaton mein kahiin hai in sab ka asar,
aur koi khalish..
sochtaa nahiin hoon tumhein..
yaad bhi to nahiin kartaa hoon roz... magar..
ho kahiin mere wajood mein tum..
jaan mein tum ho..
वही चेहरा है.. वही आँखें.. हाँ वही तुम हो..
मुद्दतें गुज़री, पास तो नहीं मगर.. आँख में तुम हो..
खुश्नसीब कोई और है.. के जिसके सामने तुम हो..
वो मेहंदी से सजे हाथ,
वो बंद पलकें,
वो मुस्कानों में कशिश
मेरी आदतों में कहीं है इन सब का असर..
और कोई खलिश..
सोचता नहीं हूँ तुम्हे..
याद भी तो नहीं करता हूँ रोज़.. मगर..
हो कहीं मेरे वजूद में तुम..
जान में तुम हो..
Comments