हुई बे-नक़ाब (Hui be-naqaab zindagi)
(Original poetry by @kaunquest)
हुई बे-नक़ाब ज़िंदगी तो इस्ति'जाब क्यों
ख़त्म बेखुदी है अब इस्तिग़राक क्यों
मुक़द्दर पे इल्ज़ाम है खुद से नहीं गीला
दुनिया ही खराब है मैं तो हूँ भला
सोचूँ मैं बस यही जिए जाऊं इसतरहा
मुश्किल है दुश्मनी नहीं आसान दोस्ती
एहतराम न करूँ एहसान से डरूँ
ज़माने से दूर यूं तनहा ही मैं चलूँ
Hui be-naqaab zindagi to istijaab kyun
Khatm bekhudii hai, ab istighraaq kyun
muqaddar pe ilzaam hai, khud se nahin gilaa
duniyaa hi kharaab hai, mai to hoon bhalaa
sochuun mai bas yahiii, jeeye jaaoon istarah
mushkil hai dushmanii, nahin aasaan dostii
ehtraam naa karuun, ehsaan se Daruuun
zamaane se door yoon, tanhaa hi mai chaluun
- Kaunquest
If you liked this, zaraa gaur farmaaye..arz kiyaa hai - http://kaunquest.blogspot.com/2006/04/tadap-uttenge-phir-kabhi.html
************************************************
be-naqaab=unmasked
istijaab=surprise
istighraaq=engrossed/lost in thought
muqaddar=fate
ehtraam=respect
ehsaan=favour
Photo credit John Noonan
Comments
amazing lines...
Khaanaa zaad-e-zulf hai.n zanjiir se bhaage.nge kyaa
hai.n giraftaar-e-vafaa zindaa.N se ghabaraaye.nge kyaa
daad hee daad kabool farmayein :)
cheers
Hai ye dil bhi kaid unhi jazbon ke jaal mein,
koi kasar na rahii mere sitamgar ke chaal mein
jo ke sitamgar gar itna haseen hoga ;)
Adaab